Overblog
Edit post Follow this blog Administration + Create my blog

Diare Dil Ki Rah main Chiragh Sa Jala Gaya

Posted on by SKfromPk

Diare Dil Ki Rah main Chiragh Sa Jala Gaya

Diar-e-Dil Ki Rah main Chiragh Sa Jala Gaya
Mila Nahi To kya howa Wo Shakl to Dikha Gaya
Wo Dosti To Khair Ab Naseeb-e-Dushmana'n Hoi
Wo Choti Choti C Ranjisho'n ka Lutf b Ab Chala gya
Judayon Ka Zakhm Ab Dard-e-Zindagi Ne Bhar Diya
Tujhe bhi Neend Aa Gai Mujhe bhi Sabr Aa Gaya
Pukarti hain Fursatain Kahan Gai Wo Suhbatain
Zamee'n Nigal Gai Unhain ya Asma'n Nigal Gaya
Ye Subh ki Sufaidia'n Ye Dupehr hi Zardia'n
Ab A'ayene Main Daikhta hon Main Kaha Chala Gaya
Ye Kis Khushi ki Rait pe Ghamo'n ko Neend Aa Gai
Wo Lehar Kis Taraf Gai ya Main Kahan Sama Gaya.

Comment on this post